Skip to main content

Be intehaan


                                                        "Be Intehaan"

Suno na suno na
Kahe kya
Suno na suno na
Dil mera
Suno na suno na
Sunlo zara

Teri bahon mein
mujhe rehna hai raat bhar
Teri bahon mein
Hogi subah

Be intehaan be intehaan
Yun pyaar kar
Yun pyaar kar
Be intehaan

Dekha karon
Sari umar
Sari umar

Tere nishaan
Be intehaan
Koi kasar na rahe
Meri khabar na rahe
Choole mujhe iss kadar
Be intehaan

Jab saanson mein teri
Saasein ghuli toh
Phir sulaghne lagey
Ehsaas mere mujhse
Kehne lagey
Haan bahon mein teri
Aake jahan do
Yu simatne lagey
Sailaab jaise koi
Behne lagey

Khoya hoon mein
Aagosh mein
Tu bhi kahan ab
hosh mein
Makhmali raat ki
Ho na subah
Be intehaan be intehaan
Yun pyaar kar
Be intehaan

Hmm Hmm Hmm Hmm

Gustakhiyaan kuch tum karo
Kuch hum karein
Is tarah
Sharmake do
Saaye hai jo
Mooh pher le
Humse yahan
Haan choo to liya hai
Yeh jism tune
Rooh bhi choom le
Anfaaz bheege bheege
Kyun hai mere

Haan yun choor hoke
Majboor hoke
Qatra qatra kahe
Ehsaas bheege bheege
Kyun hai mere

Do bekhabar
Bheege badan
Ho besabar
Bheege badan
Le rahe raat bhar angraaiyan

Be intehaan
Be intehaan be intehaan
Yun pyaar kar
Be intehaan
Dekha karon
Saari umar

Tere nishaan
Beinteha
Koi kasar na rahe
Meri khabar na rahe
Choole mujhe iss kadar
be intehaan

Comments

Popular posts from this blog

Channa Mereya

                                                      "Channa Mereya" Accha chalta hoon Duaaon mein yaad rakhna Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna [x2] Dil ke sandookon mein Mere acche kaam rakhna Chitthi taaron mein bhi Mera tu salaam rakhna Andhera tera maine le liya Mera ujla sitaara tere naam kiya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Beliya O piya… [x2] Mmm… mehfil mein teri Hum naa rahe jo Gham toh nahi hai Gham toh nahi hai Qisse humaare nazdeeqiyon ke Kam toh nahi hai Kam toh nahi hai Kitni dafaa, subah ko meri Tere aangan me baithe Maine shaam kiya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Beliya O piya… [x2] Tere rukh se apna raasta Mod ke chalaa Chandan hoon main Apni khushboo chhod ke chala Mann ki maaya rakh ke Tere takiye tale Bairagi, bairagi ka sooti chaula Odh ke chalaa Channa mereya me...

Duaa

Duaa Lyrics Kise puchhun.. Hai aisa kyun Bejubaan saa yeh jahaan hai Khushi ke pal Kahaan dhundhu Benishaan sa waqt bhi yahaan hai Jaane kitne labon pe gile hain Zindagi se chhote inn haathon se yun bewajah Jo bheji thi dua Wo jaake aasmaan se yun takra gayi Ki aa gayi hai laut ke sadaa Saanson ne kahaan rukh mod liya Koi raah nazar mein na aaye Dhadkan ne kahaan dil chhod diya Kahaan chhode in jismon ne saaye Yehi baar baar sochta hun tanha main yahaan Mere saath saath chal raha hai yaadon ka dhuaan Jo bheji thi duaa Wo jaake aasmaan se yun takra gayi Ki aa gayi hai laut ke sadaa

sanson ko

Saanson Ko Lyrics Saanson ko jeene ka ishaara mill gaya Dooba main tujhme to kinara mill gaya Saanson ko jeene ka ishara mil gaya Zindagi ka pata dobara mil gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Ghamzada ghamzada dil ye tha ghamzada Bin tere, bin tere, dil ye tha ghamzada Aaraam de tu mujhe, barson ka hun main thaka Palkon pe raatein liye, tere waste main jaga (x2) Mere har dard ki gehrai ko mehsoos karta hai tu Teri aankhon se gham tera mujhe maaloom hone laga Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Main raaz tujhse kahun humraz ban ja zara Karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara (x2) Juda jab se hua Tere bina khamosh rehta hoon me Labon ke paas aa Ab tu aawaaz bann ja zara Tu mila to Khuda ka sahara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahara mill gaya Ghamzada ghamzada dil ye tha ghamzada Bin tere, bin tere, dil ye tha ghamzada