Skip to main content

Ae Dil Hai Mushkil

                                                  "Ae Dil Hai Mushkil"



Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Tu mera khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Mujhy aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil

Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera

Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera

Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi

Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai

Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaj manzil ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar, safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi

Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

Comments

Popular posts from this blog

Channa Mereya

                                                      "Channa Mereya" Accha chalta hoon Duaaon mein yaad rakhna Mere zikr ka zubaan pe swaad rakhna [x2] Dil ke sandookon mein Mere acche kaam rakhna Chitthi taaron mein bhi Mera tu salaam rakhna Andhera tera maine le liya Mera ujla sitaara tere naam kiya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Beliya O piya… [x2] Mmm… mehfil mein teri Hum naa rahe jo Gham toh nahi hai Gham toh nahi hai Qisse humaare nazdeeqiyon ke Kam toh nahi hai Kam toh nahi hai Kitni dafaa, subah ko meri Tere aangan me baithe Maine shaam kiya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Channa mereya mereya Beliya O piya… [x2] Tere rukh se apna raasta Mod ke chalaa Chandan hoon main Apni khushboo chhod ke chala Mann ki maaya rakh ke Tere takiye tale Bairagi, bairagi ka sooti chaula Odh ke chalaa Channa mereya me...

Duaa

Duaa Lyrics Kise puchhun.. Hai aisa kyun Bejubaan saa yeh jahaan hai Khushi ke pal Kahaan dhundhu Benishaan sa waqt bhi yahaan hai Jaane kitne labon pe gile hain Zindagi se chhote inn haathon se yun bewajah Jo bheji thi dua Wo jaake aasmaan se yun takra gayi Ki aa gayi hai laut ke sadaa Saanson ne kahaan rukh mod liya Koi raah nazar mein na aaye Dhadkan ne kahaan dil chhod diya Kahaan chhode in jismon ne saaye Yehi baar baar sochta hun tanha main yahaan Mere saath saath chal raha hai yaadon ka dhuaan Jo bheji thi duaa Wo jaake aasmaan se yun takra gayi Ki aa gayi hai laut ke sadaa

sanson ko

Saanson Ko Lyrics Saanson ko jeene ka ishaara mill gaya Dooba main tujhme to kinara mill gaya Saanson ko jeene ka ishara mil gaya Zindagi ka pata dobara mil gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Ghamzada ghamzada dil ye tha ghamzada Bin tere, bin tere, dil ye tha ghamzada Aaraam de tu mujhe, barson ka hun main thaka Palkon pe raatein liye, tere waste main jaga (x2) Mere har dard ki gehrai ko mehsoos karta hai tu Teri aankhon se gham tera mujhe maaloom hone laga Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahaara mill gaya Main raaz tujhse kahun humraz ban ja zara Karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara (x2) Juda jab se hua Tere bina khamosh rehta hoon me Labon ke paas aa Ab tu aawaaz bann ja zara Tu mila to Khuda ka sahara mill gaya Tu mila to Khuda ka sahara mill gaya Ghamzada ghamzada dil ye tha ghamzada Bin tere, bin tere, dil ye tha ghamzada